Tuesday, October 18, 2005

Tere jaane ke baad tere aane se pehle..

ek ek Lamhaa ginte ...mausam guzar gayein
kya paaya kisko tarasein.... kahan se kidhar gayein
ud chalee thi ek khaahish...sholon mein gir gayee
kub aag lagee kub raakh hui...kub khwaab mar gayein

har manzar pe khoj...har mehfil mein talaash
khud ko tanhaa tanha paaya.. jahaan gayein jidhar gayein
kar liyaa tha yeh iraada tum ko bhool jaaeyein
bewajah ka hoga jeena yaadon se jo bichard gayein

is mord se mud ke dekhoon ..tou tum itne paas they
ab kya haasil yeh soch kar ..ki hum kyon mukar gayein
Dekhte hee dekhte ..meire haath se
reit ki tarah tere furqat ke ..heerein bikhar gayein

jis subeh ke dhoop ne andhaa bana diyaa
din dhalaa tou raat mein khud se hee dar gayein
Jis fatah ki dhund yun tum ko kho diyaa
kaarwaan nikala tou sannaatein thahar gayein

Gar veeraana hai abhee tou kis ka hai kusoor
hum woh hai jo humsafar ko loot kar gayein
zindagee se oob kar bhee maut se darein
aaj woh sharmindgee bhee paar kar gayein

jis ke chaahat mein mein bhaaga woh tou thaa saraab
tishngee tou bujh na paayee ashq bhar gayein
ab yeh zindaa laash sub bazmon mein dhota hoon
khamosh pukaar na banjaaoon kub ke yeh fikar gayein

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home